Sahil Dream

Sahil Dream
dreams

Thursday, 20 February 2014

KAASSH....

Mohabbat” kehnay ko to sirf ek lafz hai lakin woh samandar hai jis ki gehraye ka aandaza ni lagaya ja sakta, iss samandar ka koi kinara nahin.
Najane kyun log Mohabbat ka matlab dhondtay phirtay hain, lakin woh Mohabbat, Mohabbat he ni jis mein koi matlab ho. Mohabbat ek Ehsaas hai jisko sirf mehsos kia jata hai..., shayed Iss lya  kehtay hain “ Mohabbat andhi hoti hai” keyun k ek andha shaks har cheez ko mehsoos karta hai k aakhir woh kya cheez hai? Esi taraha Mohabbat lafz ka matlab bayan ni kiya ja sakta, sirf Mohabbat ko mehsoos kea ja sakta hai... Aur mehsoos unhe ko hota hai jo Mohabbat kartay hain.
Mohabbat kab, kahan, kesay aur kis se ho jati hai kuch pata nahin chalta, bas yeh dua karta hun k jo Mohabbat karay uss ko uski Mohabbat mill jaye. Ameen. Keyun ka Azal se yeh duniya Mohabbat karne walon ki dushman rahi hai, ab bhi hai aur hamesha rahayge. Aur yeh dushmani iss baat ka saboot hai k aaj b humaray Muasharay mein Jahalat zinda hai. Aur hum sirf Jahil nahin well educated jahil hain.
Agar Mohabbat Dimagh se ki jati to insan soch kar mohabbat karta k “han mujhay iss se Mohabbat karni chahye”, Lakin Mohabbat Jazba hai, Ehsaas hai jo dil mein hota hai aur dil se ada hota hai koi “Mathematical Theorem” ya “Chemistry Equation” nahin jo dimagh se solve ki jaye.
Shahzaib aur Sanam” ki kahaani bhot ajeeb-o-ghareeb hai. Na itni Mulaqatein hovin, na itni batein hovin, Bas kuch mulaqatein hovin aur do,chaar batein hovin aur un kuch mulaqaton mein, do,chaar baton mein mohabbat hovi aur hud se ziada hovi. Phir Ruswa hovay aur judaai hovi............

No comments:

Post a Comment